Friday, September 12, 2008

Chaand ne chand ko yaad farmaya hoga....


Chaand par jaane ka khayal jis dam aaya hoga
       Yakkenan - Yakkenan kisi ki mehbooba ne mangwaya hoga
Albatta, taaron ki guzarish kee hogi
       Aaag ka gola bata, kisi tarah samjhaya hoga

Pyar mein logoon ne Taj Mahal Banwa diya
       Banwa kar mazdooron ke haathon ko katwa diya
Loog kehte hain pyar aandha hota hai
       Pyar andha, tu bhala Taj Mahal kise dikhaya hoga
Chaand par jaane ka khayal jis dam aaya hoga
       Yakkenan - Yakkenan kisi ki mehbooba ne mangwaya hoga

Sach kahun Kabhi kabhi har kisi ke dil mein khayal aata hai
       Par amitab ji ke liye na rakhi, na miss rai ko banaya jaata hai
Sochiye agar har ladki aishwarya rai, har ladka bachan banaya hota 
       Fir heer ranjhe ka kise kisne kab kisse sunaya ho hota

Par dost kuch tu hai Ishq mein
       Aadmi chand par bhi pahunch jaata hai
Jo nahin pahunch pata woh
       dua kar ek is zameen par mangwata hai

Ek aur ek hote hain do
       Kabhi aapne ek aur ek gyarah banaya hoga
Par aisa ek jo aapke saath mil ke bhi ek hi banaye
       yakeenan rab ne aisa ek kahin banaya hoga
Chaand par jaane ka khayal jis dum aaya hoga
        Yahan ke chand ne bas wahan ke chand ko yaad farmaya hoga
.......      bas yaad farmaya hoga...

2 comments:

cherie................ said...

Chand Par Jaane Ka Khyaal Jis dam aaya hoga,
Lagta hain Usi waqt Jagdeep ne is kavita ko likhne par gaur farmaya hoga,
Likhne ke baad blog par chipkaya hoga,
Isi bahane humko bhi padne ke liye bulaya hoga,

Isko pad kar humko bhi shayar ban- ne ka fitoor chhaya hoga,
Aur humne bhi kagaz aur kalam uthaya hoga.

Chand par toh hum bhi jaayenge..

Zameen par taare bhi tod layege...

Infact hum toh ek naya hi chand banayenge.....

Kalpana Chawla ya Sunita Williams sa kuch kar dikhyenge.......

Par bhagwan mein hamesha dhyan lagayenge....
Is tarah safalta ki sidi chad jayege............

Hats Off to u for ur incredible Imagination............

Anonymous said...

bad side effects of viagra buy viagra in canada recreational viagra use viagra or cealis viagra free pills viagra and alcohol buy viagra without prescription buy viagra in canada purchase viagra over the counter viagra order viagra online viagra cheap price iframe buy viagra in england how long does viagra last