
Chaand par jaane ka khayal jis dam aaya hoga
Yakkenan - Yakkenan kisi ki mehbooba ne mangwaya hoga
Albatta, taaron ki guzarish kee hogi
Aaag ka gola bata, kisi tarah samjhaya hoga
Pyar mein logoon ne Taj Mahal Banwa diya
Banwa kar mazdooron ke haathon ko katwa diya
Loog kehte hain pyar aandha hota hai
Pyar andha, tu bhala Taj Mahal kise dikhaya hoga
Chaand par jaane ka khayal jis dam aaya hoga
Yakkenan - Yakkenan kisi ki mehbooba ne mangwaya hoga
Sach kahun Kabhi kabhi har kisi ke dil mein khayal aata hai
Par amitab ji ke liye na rakhi, na miss rai ko banaya jaata hai
Sochiye agar har ladki aishwarya rai, har ladka bachan banaya hota
Fir heer ranjhe ka kise kisne kab kisse sunaya ho hota
Par dost kuch tu hai Ishq mein
Aadmi chand par bhi pahunch jaata hai
Jo nahin pahunch pata woh
dua kar ek is zameen par mangwata hai
Ek aur ek hote hain do
Kabhi aapne ek aur ek gyarah banaya hoga
Par aisa ek jo aapke saath mil ke bhi ek hi banaye
yakeenan rab ne aisa ek kahin banaya hoga
Chaand par jaane ka khayal jis dum aaya hoga
Yahan ke chand ne bas wahan ke chand ko yaad farmaya hoga
....... bas yaad farmaya hoga...